wo kachha rasta
jo chalta hai, rail ki pataree ke saath
jo yaad dilata hai, un doston ki
jo skool se chhuti ke baad
gale mein haath dal, pairon se dhul udaate the
yaad dilata hai babuji ki, jo shaam ko
theek sade-paanch baje ghar ki chat se dikhai dete the
yaad dilata hai, bade bhaiya ki
jo saikil1 par barsam2 baandh ke laate the
doharata hai vo khushi jo milati hai
rail mein jate logon ko haath hilane se
kachha rasta, jiske kinare pe
baitha hota tha ek amrud3 wala
jo na hota tha pareshan, humare tang karne se
jivit kar deta hai pairon se banai vo lakeeren
jo banti thi, chalti hui buggi4 ke pichhe latakane se
aur kabhi kabhi saath mein yaad aati hai
us sondhi mahak ki, jo udhati hai
halki bauchhar ke baad
1 --> cycle
2 --> green fodder
3 --> guava
4 --> bullock cart
No comments:
Post a Comment